ek surat teri banane mein
ek sūrat tirī banāne meñ
rañg masrūf haiñ zamāne meñ
phailtī jā rahī hai ye duniyā
jashn-e-āvārgī manāne meñ
qatra qatra Tapak rahā hai dil
qissa-e-āshiqī sunāne meñ
kaise kaise vajūd raushan haiñ
vaqt ke niile shāmiyāne meñ
merā paikar mujhe atā kar de
kyā kamī hai tire ḳhazāne meñ
ek surat teri banane mein
rang masruf hain zamane mein
phailti ja rahi hai ye duniya
jashn-e-awargi manane mein
qatra qatra Tapak raha hai dil
qissa-e-ashiqi sunane mein
kaise kaise wajud raushan hain
waqt ke nile shamiyane mein
mera paikar mujhe ata kar de
kya kami hai tere KHazane mein
- Book : Urdu Gazal ka Magribi Daricha (Pg. 181)
- Author : Dr. Jawaz Jafri
- Publication : Kitab Saray, Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.