ek Tahni se barg TuTa hai
ek Tahnī se barg TuuTā hai
saarī shāḳhoñ se ḳhuun phūTā hai
ab to qismat pe chhoḌ de milnā
tez paanī meñ haath chhūTā hai
maiñ ne phūloñ pe haath rakkhā thā
kyuuñ hathelī se ḳhuun phūTā hai
vaqt kar degā faisla is kā
kaun sachchā hai kaun jhūTā hai
hañsne vaale ko kyā ḳhabar is kī
mujh pe kaisā pahāḌ TuuTā hai
us ke fan meñ to shak nahīñ lekin
ye bhī maano vo shaḳhs jhūTā hai
maiñ kahūñ bhī to kaun mānegā
jis kamāñ se ye tiir chhūTā hai
kis ko 'tauqīr' ye ḳhabar hogī
kis ta.alluq se us ne luuTā hai
ek Tahni se barg TuTa hai
sari shaKHon se KHun phuTa hai
ab to qismat pe chhoD de milna
tez pani mein hath chhuTa hai
main ne phulon pe hath rakkha tha
kyun hatheli se KHun phuTa hai
waqt kar dega faisla is ka
kaun sachcha hai kaun jhuTa hai
hansne wale ko kya KHabar is ki
mujh pe kaisa pahaD TuTa hai
us ke fan mein to shak nahin lekin
ye bhi mano wo shaKHs jhuTa hai
main kahun bhi to kaun manega
jis kaman se ye tir chhuTa hai
kis ko 'tauqir' ye KHabar hogi
kis talluq se us ne luTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.