fikr-e-ghurbat hai na andesha-e-tanhai hai
fikr-e-ġhurbat hai na andesha-e-tanhā.ī hai
zindagī kitne havādis se guzar aa.ī hai
log jis haal meñ marne kī duā karte haiñ
maiñ ne us haal meñ jiine kī qasam khaa.ī hai
ham na suqrāt na mansūr na iisā lekin
jo bhī qātil hai hamārā hī tamannā.ī hai
zindagī aur haiñ kitne tire chehre ye batā
tujh se ik umr kī hālāñki shanāsā.ī hai
kaun nā-vāqif-e-anjām-e-tabassum hai 'amīr'
mere hālāt pe ye kis ko hañsī aa.ī hai
fikr-e-ghurbat hai na andesha-e-tanhai hai
zindagi kitne hawadis se guzar aai hai
log jis haal mein marne ki dua karte hain
main ne us haal mein jine ki qasam khai hai
hum na suqraat na mansur na isa lekin
jo bhi qatil hai hamara hi tamannai hai
zindagi aur hain kitne tere chehre ye bata
tujh se ek umr ki haalanki shanasai hai
kaun na-waqif-e-anjam-e-tabassum hai 'amir'
mere haalat pe ye kis ko hansi aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.