gale mujhko laga lo ai mere dildar holi mein
gale mujhko laga lo ai mere dildar holi mein
Bhartendu Harishchandra
MORE BYBhartendu Harishchandra
gale mujh ko lagā lo ai mire dildār holī meñ
bujhe dil kī lagī bhī to ai mere yaar holī meñ
nahīñ ye hai gulāl-e-surḳh uḌtā har jagah pyāre
ye āshiq kī hai umḌī āh-e-ātish-bār holī meñ
gulābī gaal par kuchh rañg mujh ko bhī jamāne do
manāne do mujhe bhī jān-e-man tyauhār holī meñ
'rasā' gar jām-e-mai ġhairoñ ko dete ho to mujh ko bhī
nashīlī aañkh dikhlā kar karo sarshār holī meñ
gale mujh ko laga lo ai mere dildar holi mein
bujhe dil ki lagi bhi to ai mere yar holi mein
nahin ye hai gulal-e-surKH uDta har jagah pyare
ye aashiq ki hai umDi aah-e-atish-bar holi mein
gulabi gal par kuchh rang mujh ko bhi jamane do
manane do mujhe bhi jaan-e-man tyauhaar holi mein
'rasa' gar jam-e-mai ghairon ko dete ho to mujh ko bhi
nashili aankh dikhla kar karo sarshaar holi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.