gali gali meri yaad bichhi hai pyare rasta dekh ke chal
galī galī mirī yaad bichhī hai pyāre rasta dekh ke chal
mujh se itnī vahshat hai to merī hadoñ se duur nikal
ek samay tirā phuul sā nāzuk haath thā mere shānoñ par
ek ye vaqt ki maiñ tanhā aur dukh ke kāñToñ kā jañgal
yaad hai ab tak tujh se bichhaḌne kī vo añdherī shaam mujhe
tū ḳhāmosh khaḌā thā lekin bāteñ kartā thā kājal
maiñ to ek na.ī duniyā kī dhun meñ bhaTaktā phirtā huuñ
merī tujh se kaise nibhegī ek haiñ tere fikr o amal
merā muñh kyā dekh rahā hai dekh is kaalī raat ko dekh
maiñ vahī terā hamrāhī huuñ saath mire chalnā ho to chal
gali gali meri yaad bichhi hai pyare rasta dekh ke chal
mujh se itni wahshat hai to meri hadon se dur nikal
ek samay tera phul sa nazuk hath tha mere shanon par
ek ye waqt ki main tanha aur dukh ke kanTon ka jangal
yaad hai ab tak tujh se bichhaDne ki wo andheri sham mujhe
tu KHamosh khaDa tha lekin baaten karta tha kajal
main to ek nai duniya ki dhun mein bhaTakta phirta hun
meri tujh se kaise nibhegi ek hain tere fikr o amal
mera munh kya dekh raha hai dekh is kali raat ko dekh
main wahi tera hamrahi hun sath mere chalna ho to chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.