gham ka KHazana tera bhi hai mera bhi
ġham kā ḳhazāna terā bhī hai merā bhī
ye nazrāna terā bhī hai merā bhī
apne ġham ko giit banā kar gā lenā
raag purānā terā bhī hai merā bhī
kaun hai apnā kaun parāyā kyā socheñ
chhoḌ zamāna terā bhī hai merā bhī
shahr meñ galiyoñ galiyoñ jis kā charchā hai
vo afsāna terā bhī hai merā bhī
tū mujh ko aur maiñ tujh ko samjhā.ūñ kyā
dil dīvāna terā bhī hai merā bhī
mai-ḳhāne kī baat na kar vaa.iz mujh se
aanā jaanā terā bhī hai merā bhī
jaisā bhī hai 'shāhid' ko ab kyā kahiye
yaar purānā terā bhī hai merā bhī
gham ka KHazana tera bhi hai mera bhi
ye nazrana tera bhi hai mera bhi
apne gham ko git bana kar ga lena
rag purana tera bhi hai mera bhi
kaun hai apna kaun paraya kya sochen
chhoD zamana tera bhi hai mera bhi
shahr mein galiyon galiyon jis ka charcha hai
wo afsana tera bhi hai mera bhi
tu mujh ko aur main tujh ko samjhaun kya
dil diwana tera bhi hai mera bhi
mai-KHane ki baat na kar waiz mujh se
aana jaana tera bhi hai mera bhi
jaisa bhi hai 'shahid' ko ab kya kahiye
yar purana tera bhi hai mera bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.