gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
ġham kī bārish ne bhī tere naqsh ko dhoyā nahīñ
tū ne mujh ko kho diyā maiñ ne tujhe khoyā nahīñ
niiñd kā halkā gulābī sā ḳhumār āñkhoñ meñ thā
yuuñ lagā jaise vo shab ko der tak soyā nahīñ
har taraf dīvār-o-dar aur un meñ āñkhoñ ke hujūm
kah sake jo dil kī hālat vo lab-e-goyā nahīñ
jurm aadam ne kiyā aur nasl-e-ādam ko sazā
kāTtā huuñ zindagī bhar maiñ ne jo boyā nahīñ
jāntā huuñ ek aise shaḳhs ko maiñ bhī 'munīr'
ġham se patthar ho gayā lekin kabhī royā nahīñ
gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin
nind ka halka gulabi sa KHumar aankhon mein tha
yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin
har taraf diwar-o-dar aur un mein aankhon ke hujum
kah sake jo dil ki haalat wo lab-e-goya nahin
jurm aadam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
kaTta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin
jaanta hun ek aise shaKHs ko main bhi 'munir'
gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 246)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.