gar mujhe meri zat mil jae
gar mujhe merī zaat mil jaa.e
ik na.ī kā.enāt mil jaa.e
ḳhvāb hai us se baat karne kā
koī ḳhvāboñ kī raat mil jaa.e
ġham-zada log sochte hoñge
zindagī se najāt mil jaa.e
koī kuchh bhī badal nahīñ saktā
jis ko jaisī hayāt mil jaa.e
pūchhnā chāñd kā patā 'āzar'
jab akele meñ raat mil jaa.e
gar mujhe meri zat mil jae
ek nai kaenat mil jae
KHwab hai us se baat karne ka
koi KHwabon ki raat mil jae
gham-zada log sochte honge
zindagi se najat mil jae
koi kuchh bhi badal nahin sakta
jis ko jaisi hayat mil jae
puchhna chand ka pata 'azar'
jab akele mein raat mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.