garche main ban ke hawa tez bahut tez uDa
garche maiñ ban ke havā tez bahut tez uḌā
vo bagūlā thā magar mere ta.āqub meñ rahā
mujh se kitnoñ ko usī din kī shikāyat hogī
ek maiñ hī nahīñ jis par ye kaḌā vaqt paḌā
aur tārīk mirī rāhguzar ko kar de
tū magar apnī tamannā ke sitāre na bujhā
ab to har vaqt vahī itnā rulātā hai mujhe
jis ko jaate hue maiñ dekh ke ro bhī na sakā
tum se chāhā thā bahut tark-e-ta.alluq kar luuñ
jaane kyuuñ mujh se mirī jaañ kabhī aisā na huā
umr bhar yaad rahā apnī vafāoñ kī tarah
ek vo ahd jise aap ne puurā na kiyā
koī sūraj to mile koī sahārā to bane
chāñd kā haath mire haath se phir chhūT gayā
garche main ban ke hawa tez bahut tez uDa
wo bagula tha magar mere taaqub mein raha
mujh se kitnon ko usi din ki shikayat hogi
ek main hi nahin jis par ye kaDa waqt paDa
aur tarik meri rahguzar ko kar de
tu magar apni tamanna ke sitare na bujha
ab to har waqt wahi itna rulata hai mujhe
jis ko jate hue main dekh ke ro bhi na saka
tum se chaha tha bahut tark-e-talluq kar lun
jaane kyun mujh se meri jaan kabhi aisa na hua
umr bhar yaad raha apni wafaon ki tarah
ek wo ahd jise aap ne pura na kiya
koi suraj to mile koi sahaara to bane
chand ka hath mere hath se phir chhuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.