Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya

Khalid Irfan

garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya

Khalid Irfan

garmī jo aa.ī ghar havā-dān khul gayā

sāhil pe jab gayā to har insān khul gayā

pahle to long-march ke haq meñ diyā bayān

phir 'qādrī' ko dekh ke 'imrran' khul gayā

ik maulvī aañkh meñ bīnā.ī aa ga.ī

jab rail meñ kisī garebān khul gayā

tum nāshte mez pe baiThī ho is tarah

yuuñ lag rahā hai jaise namak-dān khul gayā

do chaar din se merī samā.at block thī

tum ne ġhazal paḌhī to mirā kaan khul gayā

lauTe vo jab safar se kanīzoñ ne ye kahā

bhāgo janāb-e-shaiḳh sāmān khul gayā

mere ḳhutūt paḌh ke vo rotī hai is tarah

lagtā hai 'mīr-anīs' dīvān khul gayā

mere ishā.iye thā Time ishā ke ba.ad

āġhāz-e-guftugū meñ mehmān khul gayā

bazm-e-suḳhan meñ puurī musaddas uñDel kar

had se ziyāda 'ḳhālid'-e-irfān khul gayā

garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya

sahil pe jab gaya to har insan khul gaya

pahle to long-march ke haq mein diya bayan

phir 'qadri' ko dekh ke 'imrran' khul gaya

ek maulwi ki aankh mein binai aa gai

jab rail mein kisi ka gareban khul gaya

tum nashte ki mez pe baiThi ho is tarah

yun lag raha hai jaise namak-dan khul gaya

do chaar din se meri samaat block thi

tum ne ghazal paDhi to mera kan khul gaya

lauTe wo jab safar se kanizon ne ye kaha

bhago janab-e-shaiKH ka saman khul gaya

mere KHutut paDh ke wo roti hai is tarah

lagta hai 'mir-anis' ka diwan khul gaya

mere ishaiye ka tha Time isha ke baad

aaghaz-e-guftugu mein hi mehman khul gaya

bazm-e-suKHan mein puri musaddas unDel kar

had se ziyaada 'KHalid'-e-irfan khul gaya

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now