ghazab hai muddai jo ho wahi phir muddaa Thahre
ghazab hai muddai jo ho wahi phir muddaa Thahre
Shiv Narayan Aaram
MORE BYShiv Narayan Aaram
ġhazab hai mudda.ī jo ho vahī phir mudda.ā Thahre
jo apnā dushman-e-dil ho vahī dil kī davā Thahre
vo chāheñ jis qadar jaur-o-jafā ham par kareñ lekin
hameñ taslīm lāzim hai ki pāband-e-razā Thahre
ye duniyā ik sarā hai is ko āḳhir chhoḌ jaanā hai
agar do-chār din aakar yahāñ Thahre to kyā Thahre
kaTe haiñ sar bahut teġh-e-jafā se be-gunāhī ke
ajab kyā hai agar qātil kā kūcha karbalā Thahre
idhar aane ko haiñ vo aur udhar vaqt-e-safar aaya
ajab mushkil na vo aa.eñ na dam-bhar ko qazā Thahre
usī ko zindagī kā lutf hai is dahr-e-fānī meñ
ki jo nazdīk achchhoñ ke bhalā aur bā-ḳhudā Thahre
qiyām apnā ho is mehnat-sarā-e-dahr meñ kyūñkar
jahāñ aafat hī aafat ho vahāñ 'ārām' kyā Thahre
ghazab hai muddai jo ho wahi phir muddaa Thahre
jo apna dushman-e-dil ho wahi dil ki dawa Thahre
wo chahen jis qadar jaur-o-jafa hum par karen lekin
hamein taslim lazim hai ki paband-e-raza Thahre
ye duniya ek sara hai is ko aaKHir chhoD jaana hai
agar do-chaar din aakar yahan Thahre to kya Thahre
kaTe hain sar bahut tegh-e-jafa se be-gunahi ke
ajab kya hai agar qatil ka kucha karbala Thahre
idhar aane ko hain wo aur udhar waqt-e-safar aaya
ajab mushkil na wo aaen na dam-bhar ko qaza Thahre
usi ko zindagi ka lutf hai is dahr-e-fani mein
ki jo nazdik achchhon ke bhala aur ba-KHuda Thahre
qiyam apna ho is mehnat-sara-e-dahr mein kyunkar
jahan aafat hi aafat ho wahan 'aram' kya Thahre
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 47)
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.