ghubar-e-dard se sara badan aTa nikla
ġhubār-e-dard se saarā badan aTā niklā
jise bhī ḳhanda-ba-lab dekhā ġham-zadā niklā
ab ehtiyāt bhī aur kyā ho be-libās to huuñ
ik āstīn se maanā ki azhdahā niklā
mire ḳhulūs pe shak kī to koī vaj.h nahīñ
mire libās meñ ḳhanjar agar chhupā niklā
lagā jo piiTh meñ neza to samjhe dushman hai
magar palaT ke jo dekhā to āshnā niklā
mire lahū se hai rangīñ jabīn-e-sub.h to kyā
chalo ki zulmat-e-shab kā to hauslā niklā
ye haath raakh meñ ḳhvāboñ kī Dālte to ho
magar jo raakh meñ sho'la koī dabā niklā
sunā thā hadd-e-tabassum hai āñsuoñ se qarīb
baḌhe jo aage to barsoñ kā fāslā niklā
vo ek harf-e-tamannā jo kahte Darte the
zabāñ pe aayā to un kā hī mudda'ā niklā
kulāh kaj kiye din bhar jo shaḳhs phirtā thā
galī meñ shaam ko dekhā to vo gadā niklā
tulū' sub.h 'na.īmī' jahāñ se honī thī
usī ufuq se añdheroñ kā silsilā niklā
ghubar-e-dard se sara badan aTa nikla
jise bhi KHanda-ba-lab dekha gham-zada nikla
ab ehtiyat bhi aur kya ho be-libas to hun
ek aastin se mana ki azhdaha nikla
mere KHulus pe shak ki to koi wajh nahin
mere libas mein KHanjar agar chhupa nikla
laga jo piTh mein neza to samjhe dushman hai
magar palaT ke jo dekha to aashna nikla
mere lahu se hai rangin jabin-e-subh to kya
chalo ki zulmat-e-shab ka to hausla nikla
ye hath rakh mein KHwabon ki Dalte to ho
magar jo rakh mein sho'la koi daba nikla
suna tha hadd-e-tabassum hai aansuon se qarib
baDhe jo aage to barson ka fasla nikla
wo ek harf-e-tamanna jo kahte Darte the
zaban pe aaya to un ka hi mudda'a nikla
kulah kaj kiye din bhar jo shaKHs phirta tha
gali mein sham ko dekha to wo gada nikla
tulu' subh 'naimi' jahan se honi thi
usi ufuq se andheron ka silsila nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.