gul hua ye kis ki hasti ka charagh
gul huā ye kis kī hastī kā charāġh
mudda.ī ke ghar jalā ghī kā charāġh
ḳhair se rahtā hai raushan nām-e-nek
hashr tak jaltā hai nekī kā charāġh
vo haqīqat hai dil-e-afsurda kī
TimTimā.e jaise sardī kā charāġh
ham se raushan hai tumhārī bazm yuuñ
nāgavārā jaise garmī kā charāġh
ho qanā.at tujh ko to bas hai 'zahīr'
ḳhāna-ārā.ī ko damḌī kā charāġh
gul hua ye kis ki hasti ka charagh
muddai ke ghar jala ghi ka charagh
KHair se rahta hai raushan nam-e-nek
hashr tak jalta hai neki ka charagh
wo haqiqat hai dil-e-afsurda ki
TimTimae jaise sardi ka charagh
hum se raushan hai tumhaari bazm yun
nagawara jaise garmi ka charagh
ho qanaat tujh ko to bas hai 'zahir'
KHana-arai ko damDi ka charagh
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 206)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.