hadsa hota raha hai mujh mein
hādsa hotā rahā hai mujh meñ
bār-hā koī marā hai mujh meñ
merī miTTī ko pata hai sab kuchh
kaun kab kitnā chalā hai mujh meñ
ḳhatm hotā hī nahīñ merā safar
koī thak-hār gayā hai mujh meñ
apne andar maiñ sameTūñ kyā kyā
saarā ghar bikhrā paḌā hai mujh meñ
kashtiyāñ Duub rahī haiñ 'āzar'
ek tūfān uThā hai mujh meñ
hadsa hota raha hai mujh mein
bar-ha koi mara hai mujh mein
meri miTTi ko pata hai sab kuchh
kaun kab kitna chala hai mujh mein
KHatm hota hi nahin mera safar
koi thak-haar gaya hai mujh mein
apne andar main sameTun kya kya
sara ghar bikhra paDa hai mujh mein
kashtiyan Dub rahi hain 'azar'
ek tufan uTha hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.