dar-e-imkan khula hai mujh mein
dar-e-imkān khulā hai mujh meñ
paañv ḳhushbū kā paḌā hai mujh meñ
ḳhatm hotā hī nahīñ merā safar
koī thak-hār gayā hai mujh meñ
phuul hī phuul nazar aate haiñ
shauq zanjīr huā hai mujh meñ
apnī har saañs garāñ hai mujh ko
jab se bāzār lagā hai mujh meñ
roz-e-avval se añdhere meñ huuñ
chāñd kyoñ chīḳh rahā hai mujh meñ
apne andar maiñ sameTūñ kyā kyā
saarā ghar bikhrā paḌā hai mujh meñ
ik na.ī jang laḌā huuñ ḳhud se
der tak ḳhuun bahā hai mujh meñ
dar-e-imkan khula hai mujh mein
panw KHushbu ka paDa hai mujh mein
KHatm hota hi nahin mera safar
koi thak-haar gaya hai mujh mein
phul hi phul nazar aate hain
shauq zanjir hua hai mujh mein
apni har sans garan hai mujh ko
jab se bazar laga hai mujh mein
roz-e-awwal se andhere mein hun
chand kyon chiKH raha hai mujh mein
apne andar main sameTun kya kya
sara ghar bikhra paDa hai mujh mein
ek nai jang laDa hun KHud se
der tak KHun baha hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.