haal-e-gham un ko sunate jaiye
hāl-e-ġham un ko sunāte jā.iye
shart ye hai muskurāte jā.iye
aap ko jaate na dekhā jā.egā
sham.a ko pahle bujhāte jā.iye
shukriyā lutf-e-musalsal kā magar
gaahe gaahe dil dukhāte jā.iye
dushmanoñ se pyaar hotā jā.egā
dostoñ ko āzmāte jā.iye
raushnī mahdūd ho jin kī 'ḳhumār'
un charāġhoñ ko bujhāte jā.iye
haal-e-gham un ko sunate jaiye
shart ye hai muskuraate jaiye
aap ko jate na dekha jaega
shama ko pahle bujhate jaiye
shukriya lutf-e-musalsal ka magar
gahe gahe dil dukhate jaiye
dushmanon se pyar hota jaega
doston ko aazmate jaiye
raushni mahdud ho jin ki 'KHumar'
un charaghon ko bujhate jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.