Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

han wo main hi tha ki jis ne KHwab Dhoya subh tak

Zaheer Siddiqui

han wo main hi tha ki jis ne KHwab Dhoya subh tak

Zaheer Siddiqui

MORE BYZaheer Siddiqui

    haañ vo maiñ thā ki jis ne ḳhvāb Dhoyā sub.h tak

    kaun thā vo jo mire bistar pe soyā sub.h tak

    raat bhar kamre meñ maiñ dubkā rahā aur āsmāñ

    merī furqat meñ mire āñgan meñ royā sub.h tak

    bulb raushan thā añdhere ko ijāzat thī nahīñ

    phir bhī vo bistar ke nīche ḳhuub soyā sub.h tak

    log akḌī piiTh le kar daftaroñ se chal paḌe

    mez kursī ko milā ārām goyā sub.h tak

    chāñdnī shabnam havā barchhiyāñ chalne ko haiñ

    din ga.e kyuuñ aa.e ho jaao ruko sub.h tak

    itne chehroñ meñ mujhe hai ek chehre talāsh

    jis ko maiñ ne kho ke paayā ke khoyā sub.h tak

    hijr shab un aamad ke tasavvur meñ 'zahīr'

    muntazir āñkhoñ ne dāman bhigoyā sub.h tak

    han wo main hi tha ki jis ne KHwab Dhoya subh tak

    kaun tha wo jo mere bistar pe soya subh tak

    raat bhar kamre mein main dubka raha aur aasman

    meri furqat mein mere aangan mein roya subh tak

    bulb raushan tha andhere ko ijazat thi nahin

    phir bhi wo bistar ke niche KHub soya subh tak

    log akDi piTh le kar daftaron se chal paDe

    mez kursi ko mila aaram goya subh tak

    chandni shabnam hawa ki barchhiyan chalne ko hain

    din gae kyun aae ho jao ruko ya subh tak

    itne chehron mein mujhe hai ek chehre ki talash

    jis ko main ne kho ke paya pa ke khoya subh tak

    hijr ki shab un ki aamad ke tasawwur mein 'zahir'

    muntazir aankhon ne daman hi bhigoya subh tak

    Source:

    Roshan Waraq Waraq (Pg. 43)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now