haar ko jit ke imkan se bandhe hue rakh
haar ko jiit ke imkān se bāñdhe hue rakh
apnī mushkil kisī āsān se bāñdhe hue rakh
tujh ko ma.alūm se aage kahīñ jaanā hai to phir
ḳhvāb ko dīda-e-hairān se bāñdhe hue rakh
varna mushkil baḌī hogī yahāñ duniyā-dārī
dekh insān ko insān se bāñdhe hue rakh
jo bhulāne pe kabhī bhuul nahīñ paatā hai
mujh ko apne usī ehsān se bāñdhe hue rakh
haar ko jit ke imkan se bandhe hue rakh
apni mushkil kisi aasan se bandhe hue rakh
tujh ko malum se aage kahin jaana hai to phir
KHwab ko dida-e-hairan se bandhe hue rakh
warna mushkil baDi hogi yahan duniya-dari
dekh insan ko insan se bandhe hue rakh
jo bhulane pe kabhi bhul nahin pata hai
mujh ko apne usi ehsan se bandhe hue rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.