hasil us mah-laqa ki did nahin
hāsil us mah-laqā kī diid nahīñ
iid hai aur ham ko iid nahīñ
chheḌ dekho ki ḳhat to likkhā hai
mere ḳhat kī magar rasīd nahīñ
jānte hoñ umīd-vār mujhe
un se ye bhī mujhe umiid nahīñ
yuuñ taraste haiñ mai ko goyā ham
pīr-e-mai-ḳhāna ke murīd nahīñ
ḳhuun ho jaa.eñ ḳhaak meñ mil jaa.eñ
hazrat-e-dil se kuchh ba.iid nahīñ
aao mere mazār par bhī kabhī
kushta-e-nāz kyā shahīd nahīñ
ham to māyūs haiñ magar 'beḳhud'
dil-e-nā-fahm nā-umīd nahīñ
hasil us mah-laqa ki did nahin
id hai aur hum ko id nahin
chheD dekho ki KHat to likkha hai
mere KHat ki magar rasid nahin
jaante hon umid-war mujhe
un se ye bhi mujhe umid nahin
yun taraste hain mai ko goya hum
pir-e-mai-KHana ke murid nahin
KHun ho jaen KHak mein mil jaen
hazrat-e-dil se kuchh baid nahin
aao mere mazar par bhi kabhi
kushta-e-naz kya shahid nahin
hum to mayus hain magar 'beKHud'
dil-e-na-fahm na-umid nahin
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 186)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.