Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hath hathon mein na de baat hi karta jae

Iftikhar Naseem

hath hathon mein na de baat hi karta jae

Iftikhar Naseem

MORE BYIftikhar Naseem

    haath hāthoñ meñ na de baat kartā jaa.e

    hai bahut lambā safar yuuñ to na Dartā jaa.e

    meñ Thānī hai ki jiinā hai bahar-hāl mujhe

    jis ko marnā hai vo chup-chāp martā jaa.e

    ḳhud ko mazbūt banā rakkhe pahāḌoñ tarah

    ret aadmī andar se bikhartā jaa.e

    surḳh phūloñ nahīñ zard udāsī sahī

    rañg kuchh to mirī tasvīr meñ bhartā jaa.e

    mujh se nafrat hai agar us ko to iz.hār kare

    kab maiñ kahtā huuñ mujhe pyaar kartā jaa.e

    ghar dīvār ko itnā bhī ūñchā na banā

    terā ham-sāya tire saa.e se Dartā jaa.e

    hath hathon mein na de baat hi karta jae

    hai bahut lamba safar yun to na Darta jae

    ji mein Thani hai ki jina hai bahar-haal mujhe

    jis ko marna hai wo chup-chap hi marta jae

    KHud ko mazbut bana rakkhe pahaDon ki tarah

    ret ka aadmi andar se bikharta jae

    surKH phulon ka nahin zard udasi ka sahi

    rang kuchh to meri taswir mein bharta jae

    mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare

    kab main kahta hun mujhe pyar hi karta jae

    ghar ki diwar ko itna bhi tu uncha na bana

    tera ham-saya tere sae se Darta jae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hath hathon mein na de baat hi karta jae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now