hai ghazal mir ye shifai ki
hai ġhazal 'mīr' ye 'shifā.ī' kī
ham ne bhī tab.a-āzmā.ī kī
us ke īfā-e-ahd tak na jiye
umr ne ham se bevafā.ī kī
vasl ke din kī aarzū hī rahī
shab na āḳhir huī judā.ī kī
isī taqrīb us galī meñ rahe
minnateñ haiñ shikasta-pā.ī kī
dil meñ us shoḳh ke na kī tāsīr
aah ne aah nā-rasā.ī kī
kāsa-e-chashm le ke juuñ nargis
ham ne dīdār kī gadā.ī kī
zor o zar kuchh na thā to bār-e-'mīr'
kis bharose par āshnā.ī kī
hai ghazal 'mir' ye 'shifai' ki
hum ne bhi taba-azmai ki
us ke ifa-e-ahd tak na jiye
umr ne hum se bewafai ki
wasl ke din ki aarzu hi rahi
shab na aaKHir hui judai ki
isi taqrib us gali mein rahe
minnaten hain shikasta-pai ki
dil mein us shoKH ke na ki tasir
aah ne aah na-rasai ki
kasa-e-chashm le ke jun nargis
hum ne didar ki gadai ki
zor o zar kuchh na tha to bar-e-'mir'
kis bharose par aashnai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.