hai itna hi ab wasta zindagi se
hai itnā hī ab vāsta zindagī se
kī maiñ jī rahā huuñ tumhārī ḳhushī se
ġharībī amīrī hai qismat kā saudā
milo aadmī kī tarah aadmī se
badal jaa.e gar be-qarāroñ kī duniyā
to maiñ apnī duniyā luTā duuñ ḳhushī se
samajhte haiñ ham khel duniyā ke ġham ko
hamārī ḳhushī hai tumhārī ḳhushī se
bajā chāñd raushan hai sūraj se lekin
ye sūraj chamaktā hai kis raushnī se
hai itna hi ab wasta zindagi se
ki main ji raha hun tumhaari KHushi se
gharibi amiri hai qismat ka sauda
milo aadmi ki tarah aadmi se
badal jae gar be-qararon ki duniya
to main apni duniya luTa dun KHushi se
samajhte hain hum khel duniya ke gham ko
hamari KHushi hai tumhaari KHushi se
baja chand raushan hai suraj se lekin
ye suraj chamakta hai kis raushni se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.