hai meri zist tere gham se farozan jaanan
hai mirī ziist tire ġham se farozāñ jānāñ
kaun kahtā hai mujhe be-sar-o-sāmāñ jānāñ
terī yādeñ mire hamrāh ba-har-gām haiñ jab
maiñ ne samjhā hī nahīñ ḳhud ko pareshāñ jānāñ
nabz-e-ehsās bahut sust huī jaatī hai
dil ko darkār hai phir dard kā paikāñ jānāñ
hañste hañste nazar aate the jahāñ ġhuncha-o-gul
vīrāñ vīrāñ sā lage hai vo gulistāñ jānāñ
ab na vo soz na vo saaz hai dil meñ phir bhī
ek āvāz sī aatī hai ki jānāñ jānāñ
zikr-e-māzī se gurezāñ huuñ ye sach hai lekin
yaad hai aaj bhī mujh ko tirā paimāñ jānāñ
itnī tanhā.ī kā ehsās musalsal ho agar
apne saa.e se bhī Dar jaatā hai insāñ jānāñ
tere hāthoñ kī vo mehñdī vo tirā surḳh libās
is tasavvur se bhī dil hai mirā larzāñ jānāñ
ek muddat huī go ahd-e-bahārāñ guzre
chaak hai aaj talak merā garebāñ jānāñ
maiñ tujhe bhuul na paayā to ye chāhat hai mirī
yaad rakkhā hai jo tū ne tirā ehsāñ jānāñ
aaj 'ḳhālid' ke ḳhayālāt kī har rāhguzar
hai tire husn ke partav se charāġhāñ jānāñ
hai meri zist tere gham se farozan jaanan
kaun kahta hai mujhe be-sar-o-saman jaanan
teri yaaden mere hamrah ba-har-gam hain jab
main ne samjha hi nahin KHud ko pareshan jaanan
nabz-e-ehsas bahut sust hui jati hai
dil ko darkar hai phir dard ka paikan jaanan
hanste hanste nazar aate the jahan ghuncha-o-gul
viran viran sa lage hai wo gulistan jaanan
ab na wo soz na wo saz hai dil mein phir bhi
ek aawaz si aati hai ki jaanan jaanan
zikr-e-mazi se gurezan hun ye sach hai lekin
yaad hai aaj bhi mujh ko tera paiman jaanan
itni tanhai ka ehsas musalsal ho agar
apne sae se bhi Dar jata hai insan jaanan
tere hathon ki wo mehndi wo tera surKH libas
is tasawwur se bhi dil hai mera larzan jaanan
ek muddat hui go ahd-e-bahaaran guzre
chaak hai aaj talak mera gareban jaanan
main tujhe bhul na paya to ye chahat hai meri
yaad rakkha hai jo tu ne tera ehsan jaanan
aaj 'KHalid' ke KHayalat ki har rahguzar
hai tere husn ke partaw se charaghan jaanan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.