halki halki bunden barsin panchhi karen kalol
halkī halkī būñdeñ barsīñ panchhī kareñ kalol
is rut meñ haiñ amrit se bhī mīThe pī ke bol
jis din un se milan huā thā jīvan meñ ras barsā
ab birhā ne jīvan ras meñ zahr diyā hai ghol
mahñgā.ī meñ har ik shai ke daam hue haiñ duune
majbūrī meñ bike javānī do kauḌī ke mol
prem-nagar kī samt chalā hai kavitā kā ik raahī
man meñ aashā diip jalā kar ghūñghaT ke paT khol
jis din mahshar barpā hogā khul jā.eñgī āñkheñ
aql ke andhe gāñTh ke puure man kī āñkheñ khol
vaqt-e-sahar hai aur chaman meñ shabnam chamke aise
jaise kirnoñ ke dhāgoñ meñ motī hoñ anmol
halki halki bunden barsin panchhi karen kalol
is rut mein hain amrit se bhi miThe pi ke bol
jis din un se milan hua tha jiwan mein ras barsa
ab birha ne jiwan ras mein zahr diya hai ghol
mahngai mein har ek shai ke dam hue hain dune
majburi mein bike jawani do kauDi ke mol
prem-nagar ki samt chala hai kawita ka ek rahi
man mein aasha dip jala kar ghunghaT ke paT khol
jis din mahshar barpa hoga khul jaengi aankhen
aql ke andhe ganTh ke pure man ki aankhen khol
waqt-e-sahar hai aur chaman mein shabnam chamke aise
jaise kirnon ke dhagon mein moti hon anmol
- Book : Shora-e-London (Pg. 71)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.