hum aaj bazm-e-raqiban se surKH-ru aae
ham aaj bazm-e-raqībañ se surḳh-rū aa.e
ye hai ajiib ki ab vo bhī hū-ba-hū aa.e
hai kaun yaañ jo nahīñ jām-o-mai kā shaidā.ī
ye kab ho aap hī chal kar kahīñ subū aa.e
sabhī ne jaan dī terī galī meñ ai hamdam
kise majāl ki ab tere rū-ba-rū aa.e
tire firāq meñ ham ne bahā.e ashk-e-jigar
ye sab ne chāhā magar aa.e to lahū aa.e
hai ab kahāñ vo vafā aur vo vafā-keshī
vo aur vaqt thā ham dekh kū-ba-kū aa.e
hum aaj bazm-e-raqiban se surKH-ru aae
ye hai ajib ki ab wo bhi hu-ba-hu aae
hai kaun yan jo nahin jam-o-mai ka shaidai
ye kab ho aap hi chal kar kahin subu aae
sabhi ne jaan di teri gali mein ai hamdam
kise majal ki ab tere ru-ba-ru aae
tere firaq mein hum ne bahae ashk-e-jigar
ye sab ne chaha magar aae to lahu aae
hai ab kahan wo wafa aur wo wafa-keshi
wo aur waqt tha hum dekh ku-ba-ku aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.