hum apne ghar se ba-rang-e-hawa nikalte hain
ham apne ghar se ba-rañg-e-havā nikalte haiñ
kisī ke haq meñ kisī ke ḳhilāf chalte haiñ
abhī to din hai abhī taḳht-e-āsmāñ pe chamak
tulū-e-shām ke saath āftāb Dhalte haiñ
chale bhī ham to mah-o-sāl kī misāl chale
faqīr log inhī silsiloñ meñ palte haiñ
uḌe bhī ham to usī samt ruḳh rahā apnā
jidhar uḌeñ to farishtoñ ke par bhī jalte haiñ
hamāre aks tire shahr meñ rahe ābād
ki us jagah to faqat aa.ine badalte haiñ
zamīñ pe paañv zarā ehtiyāt se dharnā
ukhaḌ ga.e to qadam phir kahāñ sambhalte haiñ
'najīb' jin ko ġharaz ho na kuchh zamāne se
unhī ke saath abad tak zamāne chalte haiñ
hum apne ghar se ba-rang-e-hawa nikalte hain
kisi ke haq mein kisi ke KHilaf chalte hain
abhi to din hai abhi taKHt-e-asman pe chamak
tulu-e-sham ke sath aaftab Dhalte hain
chale bhi hum to mah-o-sal ki misal chale
faqir log inhi silsilon mein palte hain
uDe bhi hum to usi samt ruKH raha apna
jidhar uDen to farishton ke par bhi jalte hain
hamare aks tere shahr mein rahe aabaad
ki us jagah to faqat aaine badalte hain
zamin pe panw zara ehtiyat se dharna
ukhaD gae to qadam phir kahan sambhalte hain
'najib' jin ko gharaz ho na kuchh zamane se
unhi ke sath abad tak zamane chalte hain
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 535)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.