hum dil o jaan se KHaridar hain kin ke un ke
hum dil o jaan se KHaridar hain kin ke un ke
Mohammad Amaan Nisar
MORE BYMohammad Amaan Nisar
ham dil o jaañ se ḳharīdār haiñ kin ke un ke
bā.is-e-garmi-e-bāzār haiñ kin ke un ke
ye ḳhudā jaane kisī ko hai ḳhabar yā ki nahīñ
ham bhī ik āshiq-e-ġham-ḳhvār haiñ kin ke un ke
maqtal-e-ishq meñ ham roz-e-azal se yaaro
bismil-e-ġham-za-e-ḳhūñ-ḳhvār haiñ kin ke un ke
thā jinheñ husn-parastī se hamesha inkār
vo bhī ab tālib-e-dīdār haiñ kin ke un ke
ham ko ayyār samajhte haiñ ye be-mehr 'nisār'
jo daġhābāz haiñ so yaar haiñ kin ke un ke
hum dil o jaan se KHaridar hain kin ke un ke
bais-e-garmi-e-bazar hain kin ke un ke
ye KHuda jaane kisi ko hai KHabar ya ki nahin
hum bhi ek aashiq-e-gham-KHwar hain kin ke un ke
maqtal-e-ishq mein hum roz-e-azal se yaro
bismil-e-gham-za-e-KHun-KHwar hain kin ke un ke
tha jinhen husn-parasti se hamesha inkar
wo bhi ab talib-e-didar hain kin ke un ke
hum ko ayyar samajhte hain ye be-mehr 'nisar'
jo daghabaz hain so yar hain kin ke un ke
- Book : intekhaab-e-sukhan(avval) (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.