hum ghazal mein tera charcha nahin hone dete
ham ġhazal meñ tirā charchā nahīñ hone dete
terī yādoñ ko bhī rusvā nahīñ hone dete
kuchh to ham ḳhud bhī nahīñ chāhte shohrat apnī
aur kuchh log bhī aisā nahīñ hone dete
azmateñ apne charāġhoñ kī bachāne ke liye
ham kisī ghar meñ ujālā nahīñ hone dete
aaj bhī gaañv meñ kuchh kachche makānoñ vaale
ghar meñ ham-sā.e ke faaqa nahīñ hone dete
zikr karte haiñ tirā naam nahīñ lete haiñ
ham samundar ko jazīra nahīñ hone dete
mujh ko thakne nahīñ detā ye zarūrat kā pahāḌ
mere bachche mujhe būḌhā nahīñ hone dete
hum ghazal mein tera charcha nahin hone dete
teri yaadon ko bhi ruswa nahin hone dete
kuchh to hum KHud bhi nahin chahte shohrat apni
aur kuchh log bhi aisa nahin hone dete
azmaten apne charaghon ki bachane ke liye
hum kisi ghar mein ujala nahin hone dete
aaj bhi ganw mein kuchh kachche makanon wale
ghar mein ham-sae ke faqa nahin hone dete
zikr karte hain tera nam nahin lete hain
hum samundar ko jazira nahin hone dete
mujh ko thakne nahin deta ye zarurat ka pahaD
mere bachche mujhe buDha nahin hone dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.