hum jo aah-o-fughan nahin karte
ham jo āh-o-fuġhāñ nahīñ karte
aap kā imtihāñ nahīñ karte
jān-o-dil de ke āshiqāñ ġhayyūr
nāz-bardāriyāñ nahīñ karte
roz nā-meharbāniyāñ ham par
yuuñ to ai mehrbāñ nahīñ karte
jins-e-nāyāb hai dil-e-betāb
phir bhī is ko garāñ nahīñ karte
aql ko kyuuñ batā.eñ ishq kā raaz
ġhair ko rāz-dāñ nahīñ karte
zindagānī hai aan par marnā
mard parvā-e-jāñ nahīñ karte
yād-e-ayyām-e-shauq se 'mahrūm'
dil ko ab ham tapāñ nahīñ karte
hum jo aah-o-fughan nahin karte
aap ka imtihan nahin karte
jaan-o-dil de ke aashiqan ghayyur
naz-bardariyan nahin karte
roz na-meharbaniyan hum par
yun to ai mehrban nahin karte
jins-e-nayab hai dil-e-betab
phir bhi is ko garan nahin karte
aql ko kyun bataen ishq ka raaz
ghair ko raaz-dan nahin karte
zindagani hai aan par marna
mard parwa-e-jaan nahin karte
yaad-e-ayyam-e-shauq se 'mahrum'
dil ko ab hum tapan nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.