Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum ki chehre pe na lae kabhi virani ko

Saadullah Shah

hum ki chehre pe na lae kabhi virani ko

Saadullah Shah

MORE BYSaadullah Shah

    ham ki chehre pe na laa.e kabhī vīrānī ko

    kyā ye kaafī nahīñ zālim tirī hairānī ko

    kār-e-farhād se ye kam to nahīñ jo ham ne

    aañkh se dil taraf moḌ diyā paanī ko

    shīsha-e-shauq pe sañg-e-malāmat na girā

    aks-e-gul-rañg kaafī hai girāñ-bānī ko

    dāman-e-chashm meñ taarā hai na jugnū koī

    dekh ai dost mirī be-sar-o-sāmānī ko

    ruke na ruke faisla tujh par chhoḌā

    dil ne dar khol diye haiñ tirī āsānī ko

    haañ mujhe zabt hai saudā hai jinnoñ hai shāyad

    de lo jo naam bhī chāho mirī nādānī ko

    jis meñ mafhūm ho koī na koī rañg-e-ġhazal

    'sād' aag lage aisī zabāñ-dānī ko

    hum ki chehre pe na lae kabhi virani ko

    kya ye kafi nahin zalim teri hairani ko

    kar-e-farhad se ye kam to nahin jo hum ne

    aankh se dil ki taraf moD diya pani ko

    shisha-e-shauq pe tu sang-e-malamat na gira

    aks-e-gul-rang hi kafi hai giran-bani ko

    daman-e-chashm mein tara hai na jugnu koi

    dekh ai dost meri be-sar-o-samani ko

    tu ruke ya na ruke faisla tujh par chhoDa

    dil ne dar khol diye hain teri aasani ko

    han mujhe zabt hai sauda hai jinnon hai shayad

    de lo jo nam bhi chaho meri nadani ko

    jis mein mafhum ho koi na koi rang-e-ghazal

    'sad' ji aag lage aisi zaban-dani ko

    Source :
    • Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 25.06.2015)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now