humne sare harf likhe to kis ke liye
ham ne saare harf likhe to kis ke liye
likhne ke sau Dhañg chune to kis ke liye
kis kī khoj meñ ham ne dasht-o-jabal dekhe
bastī bastī ham jo phire to kis ke liye
pātāloñ meñ kis ke rahe ham mutalāshī
tā hadd-e-aflāk uḌe to kis ke liye
kis kī yaad meñ umroñ sar-ba-sujūd rahe
hoñToñ par aurād likhe to kis ke liye
kis kā chehra DhūñDā dhuup aur chhāñv meñ
aur ḳhvāboñ meñ rañg bhare to kis ke liye
hum ne sare harf likhe to kis ke liye
likhne ke sau Dhang chune to kis ke liye
kis ki khoj mein hum ne dasht-o-jabal dekhe
basti basti hum jo phire to kis ke liye
patalon mein kis ke rahe hum mutalashi
ta hadd-e-aflak uDe to kis ke liye
kis ki yaad mein umron sar-ba-sujud rahe
honTon par aurad likhe to kis ke liye
kis ka chehra DhunDa dhup aur chhanw mein
aur KHwabon mein rang bhare to kis ke liye
- Book : Monthly Usloob (Pg. 539)
- Author : Mushfiq Khawaja
- Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi 180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6)
- Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.