hum raaton ko uTh uTh ke jin ke liye rote hain
ham rātoñ ko uTh uTh ke jin ke liye rote haiñ
vo ġhair kī bāñhoñ meñ ārām se sote haiñ
ham ashk judā.ī ke girne hī nahīñ dete
bechain sī palkoñ meñ motī se pirote haiñ
hotā chalā aayā hai be-dard zamāne meñ
sachchā.ī kī rāhoñ meñ kāñTe sabhī bote haiñ
andāz-e-sitam un kā dekhe to koī 'hasrat'
milne ko to milte haiñ nashtar se chubhote haiñ
hum raaton ko uTh uTh ke jin ke liye rote hain
wo ghair ki banhon mein aaram se sote hain
hum ashk judai ke girne hi nahin dete
bechain si palkon mein moti se pirote hain
hota chala aaya hai be-dard zamane mein
sachchai ki rahon mein kanTe sabhi bote hain
andaz-e-sitam un ka dekhe to koi 'hasrat'
milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.