humse baat mein pech na Dal
ham se baat meñ pech na Daal
yuuñ mat dil ke chor nikāl
marnā hai to Darnā kyā
chaltā hai kyuuñ chor kī chaal
jogī ko logoñ se kaam
biin bajā aur saañp nikāl
aaj kā jhagḌā aaj chukā
kal kī bāteñ kal par Taal
apnā jhanjhaT aap nabeḌ
apnī gaThrī aap sambhāl
baḌhī hai utnī ābādī
paḌā insānoñ kā kaal
'anjum' ishq kā da.avā thā
kaisā haal hai? kaisā haal
hum se baat mein pech na Dal
yun mat dil ke chor nikal
marna hai to Darna kya
chalta hai kyun chor ki chaal
jogi ko logon se kaam
bin baja aur sanp nikal
aaj ka jhagDa aaj chuka
kal ki baaten kal par Tal
apna jhanjhaT aap nabeD
apni gaThri aap sambhaal
baDhi hai utni aabaadi
paDa insanon ka kal
'anjum' ishq ka dawa tha
kaisa haal hai? kaisa haal
- Book : Dastavez (Pg. 33)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.