hum shahr mein ek sham ki KHatir hue barbaad
ham shahr meñ ik sham' kī ḳhātir hue barbād
logoñ ne kiyā chāñd ke sahrāoñ ko ābād
har samt falak-bos pahāḌoñ kī qatāreñ
'ḳhusrav' hai na 'shīrīñ' hai na tesha hai na farhād
barsoñ se yahī ḳhvāb haiñ nīñdoñ kī sajāvaT
gulshan hai magar gul hai na bulbul hai na sayyād
huuñ tā.ir-e-be-bām charāġh-e-sar-e-sahrā
ummīd-e-karam hai na mujhe shikva-e-bedād
jis ghar ko basāyā thā mirī be-ḳhabarī ne
aaj us ko tirī ḳhud-nigarī kar ga.ī barbād
kuchh aisā dhuāñ hai ki ghuTTī jaatī haiñ sāñseñ
is raat ke baa'd aaoge shāyad na kabhī yaad
har zarra hai madfan mirī hairat-nigahī kā
yārab! ye galī kūche hamesha raheñ ābād
kal apnī bhī tasvīr na pahchān sakeñge
is daur ko baḳhshe ga.e vo 'mānī' vo 'bahzād'
sunsān hai zindāñ bhī bisān-e-dil-e-shā.er
ne shor-e-salāsil hai na hañgāma-e-fariyād
ḳhurshīd-e-qayāmat utar aa.e rag-e-jāñ meñ
ai naġhmagaro aisī koī tarz ho ījād
'shohrat' ki hai ab vaj.h-e-pareshānī-e-ahbāb
uTh jā.egā jis roz tū aa.egā bahut yaad
hum shahr mein ek sham' ki KHatir hue barbaad
logon ne kiya chand ke sahraon ko aabaad
har samt falak-bos pahaDon ki qataren
'KHusraw' hai na 'shirin' hai na tesha hai na farhad
barson se yahi KHwab hain nindon ki sajawaT
gulshan hai magar gul hai na bulbul hai na sayyaad
hun tair-e-be-baam charagh-e-sar-e-sahra
ummid-e-karam hai na mujhe shikwa-e-bedad
jis ghar ko basaya tha meri be-KHabari ne
aaj us ko teri KHud-nigari kar gai barbaad
kuchh aisa dhuan hai ki ghuTTi jati hain sansen
is raat ke ba'd aaoge shayad na kabhi yaad
har zarra hai madfan meri hairat-nigahi ka
yarab! ye gali kuche hamesha rahen aabaad
kal apni bhi taswir na pahchan sakenge
is daur ko baKHshe gae wo 'mani' wo 'bahzad'
sunsan hai zindan bhi bisan-e-dil-e-shaer
ne shor-e-salasil hai na hangama-e-fariyaad
KHurshid-e-qayamat utar aae rag-e-jaan mein
ai naghmagaro aisi koi tarz ho ijad
'shohrat' ki hai ab wajh-e-pareshani-e-ahbab
uTh jaega jis roz tu aaega bahut yaad
- Book : Pakistani Adab (Pg. 567)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.