Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hum to yun uljhe ki bhule aap hi apna KHayal

Sameena Raja

hum to yun uljhe ki bhule aap hi apna KHayal

Sameena Raja

ham to yuuñ uljhe ki bhūle aap apnā ḳhayāl

haañ koī hotā bhī hogā bhūlne vaalā ḳhayāl

ek patthar tarah se Dūbtā jaatā hai dil

ho rahā hai aur gahrā aur bhī gahrā ḳhayāl

āb-e-hairāñ par kisī aks jaise jam gayā

aañkh meñ bas ek lamhe ke liye Thahrā ḳhayāl

phir to kab apne rahe kab kār-e-duniyā ke rahe

jab se ham par chhā gayā is jān-e-duniyā ḳhayāl

naqsh-e-hairat ho ga.ī phir apnī hairānī pe chashm

zindagī ā.īna thī aur ā.īna-ḳhāna ḳhayāl

shaam gahrī ho ke phir utrī phir is dil ko lagā

ik ḳhayāl aisā ḳhayāl aisā ḳhayāl aisā ḳhayāl

hum to yun uljhe ki bhule aap hi apna KHayal

han koi hota bhi hoga bhulne wala KHayal

ek patthar ki tarah se Dubta jata hai dil

ho raha hai aur gahra aur bhi gahra KHayal

aab-e-hairan par kisi ka aks jaise jam gaya

aankh mein bas ek lamhe ke liye Thahra KHayal

phir to kab apne rahe kab kar-e-duniya ke rahe

jab se hum par chha gaya is jaan-e-duniya ka KHayal

naqsh-e-hairat ho gai phir apni hairani pe chashm

zindagi aaina thi aur aaina-KHana KHayal

sham gahri ho ke phir utri phir is dil ko laga

ek KHayal aisa KHayal aisa KHayal aisa KHayal

RECITATIONS

Azra Naqvi

Azra Naqvi,

Azra Naqvi

Hum to yun uljhe ke bhoole aap hi apna khayal Azra Naqvi

Source :
  • Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 247)
  • Author : Naseer Ahmed Nasir
  • Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999)
  • Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now