hum un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
hum un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
ham un ke sitam ko bhī karam jaan rahe haiñ
aur vo haiñ ki is par bhī burā maan rahe haiñ
ye lutf to dekho ki vo mahfil meñ mirī samt
nigarāñ haiñ ki jaise mujhe pahchān rahe haiñ
ham ko bhī to vā'iz hai bad o nek meñ tamīz
ham bhī to kabhī sāhib-e-īmān rahe haiñ
mumkin hai ki ik roz tirī zulf bhī chhū leñ
vo haath jo masrūf-e-garebān rahe haiñ
ye sach hai ki bande ko ḳhudā dahr meñ yuuñ to
maanā nahīñ jaatā hai magar maan rahe haiñ
vo aa.e haiñ is taur se ḳhalvat meñ mire paas
jaise ki na aane pe pashemān rahe haiñ
hum un ke sitam ko bhi karam jaan rahe hain
aur wo hain ki is par bhi bura man rahe hain
ye lutf to dekho ki wo mahfil mein meri samt
nigaran hain ki jaise mujhe pahchan rahe hain
hum ko bhi to wa'iz hai bad o nek mein tamiz
hum bhi to kabhi sahib-e-iman rahe hain
mumkin hai ki ek roz teri zulf bhi chhu len
wo hath jo masruf-e-gareban rahe hain
ye sach hai ki bande ko KHuda dahr mein yun to
mana nahin jata hai magar man rahe hain
wo aae hain is taur se KHalwat mein mere pas
jaise ki na aane pe pasheman rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.