hamare azabon ka kya puchhte hain
hamāre 'azāboñ kā kyā pūchhte haiñ
kabhī aap kamre meñ tanhā rahe haiñ
ye tanhā.ī bhī ek hī sāhira hai
miyāñ is kī qudrat meñ sau vasvase haiñ
hue ḳhatm cigarette ab kyā kareñ ham
hai pichhlā pahar raat ke do baje haiñ
chalo chand pal muuñd leñ apnī palkeñ
yuuñ jaise ki ham vāqa'ī so ga.e haiñ
zarā ye bhī socheñ ki rātoñ ko aksar
bhalā kutte galiyoñ meñ kyuuñ bhauñkte haiñ
jhagaḌtī haiñ billoñ se sab billiyāñ kyā
aziyyat meñ lazzat ke pahlū chhupe haiñ
huiiñ ḳhatm 'arshad' tumhārī sazā.eñ
parinde rihā.ī kā dar kholte haiñ
hamare 'azabon ka kya puchhte hain
kabhi aap kamre mein tanha rahe hain
ye tanhai bhi ek hi sahira hai
miyan is ki qudrat mein sau waswase hain
hue KHatm cigarette ab kya karen hum
hai pichhla pahar raat ke do baje hain
chalo chand pal mund len apni palken
yun jaise ki hum waqa'i so gae hain
zara ye bhi sochen ki raaton ko aksar
bhala kutte galiyon mein kyun bhaunkte hain
jhagaDti hain billon se sab billiyan kya
aziyyat mein lazzat ke pahlu chhupe hain
huin KHatm 'arshad' tumhaari sazaen
parinde rihai ka dar kholte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.