Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

haqiqat jis jagah hoti hai tabani batati hai

Nushur Wahidi

haqiqat jis jagah hoti hai tabani batati hai

Nushur Wahidi

MORE BYNushur Wahidi

    haqīqat jis jagah hotī hai tābānī batātī hai

    koī parde meñ hotā hai to chilman jagmagātī hai

    vo aa.e bhī nahīñ aur zindagī raat jaatī hai

    sahar hotī hai aur sham-e-tamannā jhilmilātī hai

    sitāroñ sahārā le ke dhartī baiTh jaatī hai

    falak ko dekh kar jis dam ġharībī muskurātī hai

    maiñ dāman thāmtā huuñ aur adā dāman chhuḌātī hai

    mohabbat hai to kuchh be-gāngī bhī paa.ī jaatī hai

    mirī nākāmi-e-ġham zauq-e-hairānī banātī hai

    ye duniyā duur se merī nazar meñ jagmagātī hai

    sukūt-e-vasl lamha bhī kyā bedār-ḳhvābī hai

    mohabbat jāgtī hai aur javānī soī jaatī hai

    vo jab sanjīda hote haiñ adā añgḌā.ī letī hai

    vo jab ḳhāmosh hote haiñ javānī gungunātī hai

    zamāna hai ki dil-gīrī meñ afsurda rahtā hai

    tabī.at hai ki ġhamgīnī meñ jaulānī pe aatī hai

    havā-e-dāman-e-nikhat-fazā vāsta tum ko

    zarā Thahro charāġh-e-zīst lau thartharātī hai

    musalsal gulshan-e-hastī meñ kāñTe us ne bo.e haiñ

    ye duniyā phir inhīñ kāñToñ se kyuuñ dāman bachātī hai

    na ġham fursat detā hai na aañsū band hote haiñ

    barastā rahā hai meñh badlī bantī jaatī hai

    yahī hastī 'nushūr' ik roz hai anjām-e-hastī bhī

    yahī duniyā kisī manzil pe uqbā ho ke aatī hai

    haqiqat jis jagah hoti hai tabani batati hai

    koi parde mein hota hai to chilman jagmagati hai

    wo aae bhi nahin aur zindagi ki raat jati hai

    sahar hoti hai aur sham-e-tamanna jhilmilati hai

    sitaron ka sahaara le ke dharti baiTh jati hai

    falak ko dekh kar jis dam gharibi muskuraati hai

    main daman thamta hun aur ada daman chhuDati hai

    mohabbat hai to kuchh be-gangi bhi pai jati hai

    meri nakaami-e-gham zauq-e-hairani banati hai

    ye duniya dur se meri nazar mein jagmagati hai

    sukut-e-wasl ka lamha bhi kya bedar-KHwabi hai

    mohabbat jagti hai aur jawani soi jati hai

    wo jab sanjida hote hain ada angDai leti hai

    wo jab KHamosh hote hain jawani gungunati hai

    zamana hai ki dil-giri mein afsurda sa rahta hai

    tabiat hai ki ghamgini mein jaulani pe aati hai

    hawa-e-daman-e-nikhat-faza ka wasta tum ko

    zara Thahro charagh-e-zist ki lau thartharaati hai

    musalsal gulshan-e-hasti mein kanTe us ne boe hain

    ye duniya phir inhin kanTon se kyun daman bachati hai

    na gham fursat hi deta hai na aansu band hote hain

    barasta ja raha hai meinh badli banti jati hai

    yahi hasti 'nushur' ek roz hai anjam-e-hasti bhi

    yahi duniya kisi manzil pe uqba ho ke aati hai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now