har but yahan TuTe hue patthar ki tarah hai
har but yahāñ TuuTe hue patthar kī tarah hai
ye shahr to ujḌe hue mandar kī tarah hai
maiñ tishna-e-dīdār ki jhoñkā huuñ havā kā
vo jhiil meñ utre hue manzar kī tarah hai
kam-zarf zamāne kī hiqārat kā gila kyā
maiñ ḳhush huuñ mirā pyaar samundar kī tarah hai
is charḳh kī taqdīs kabhī raat ko dekho
ye qabr pe phailī huī chādar kī tarah hai
maiñ sang-e-tah-e-āb kī sūrat huuñ jahāñ meñ
aur vaqt bhī so.e hue sāgar kī tarah hai
rote haiñ bagūle mire dāman se lipaT kar
sahrā bhī tabī'at meñ mire ghar kī tarah hai
ash'ār mire dard kī ḳhairāt haiñ 'aḳhtar'
ik shaḳhs ye kahtā thā ki ġham zar kī tarah hai
har but yahan TuTe hue patthar ki tarah hai
ye shahr to ujDe hue mandar ki tarah hai
main tishna-e-didar ki jhonka hun hawa ka
wo jhil mein utre hue manzar ki tarah hai
kam-zarf zamane ki hiqarat ka gila kya
main KHush hun mera pyar samundar ki tarah hai
is charKH ki taqdis kabhi raat ko dekho
ye qabr pe phaili hui chadar ki tarah hai
main sang-e-tah-e-ab ki surat hun jahan mein
aur waqt bhi soe hue sagar ki tarah hai
rote hain bagule mere daman se lipaT kar
sahra bhi tabi'at mein mere ghar ki tarah hai
ash'ar mere dard ki KHairaat hain 'aKHtar'
ek shaKHs ye kahta tha ki gham zar ki tarah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.