har chand zindagi ka safar mushkilon mein hai
har chand zindagī kā safar mushkiloñ meñ hai
insāñ kā aks phir bhī ka.ī ā.inoñ meñ hai
tahzīb ko talāsh na kar shahr shahr meñ
tahzīb khañDaroñ meñ hai kuchh pattharoñ meñ hai
tujh ko sukūñ nahīñ hai to miTTī meñ Duub jā
ābād ik jahān zamīñ kī tahoñ meñ hai
kaisā tazād hai ki fazā hai dhuāñ dhuāñ
aur aag hai ki zer-e-zamīñ ḳhandaqoñ meñ hai
insān be-hisī se hai patthar banā huā
muñh meñ zabān bhī hai lahū bhī ragoñ meñ hai
har chand zindagi ka safar mushkilon mein hai
insan ka aks phir bhi kai aainon mein hai
tahzib ko talash na kar shahr shahr mein
tahzib khanDaron mein hai kuchh pattharon mein hai
tujh ko sukun nahin hai to miTTi mein Dub ja
aabaad ek jahan zamin ki tahon mein hai
kaisa tazad hai ki faza hai dhuan dhuan
aur aag hai ki zer-e-zamin KHandaqon mein hai
insan be-hisi se hai patthar bana hua
munh mein zaban bhi hai lahu bhi ragon mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.