Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har dil jo hai betab to har ek aankh bhari hai

Javed Vashisht

har dil jo hai betab to har ek aankh bhari hai

Javed Vashisht

MORE BYJaved Vashisht

    har dil jo hai betāb to har ik aañkh bharī hai

    insān pe sach-much koī uftād paḌī hai

    rah-rau bhī vahī aur vahī rāhbarī bhī

    manzil pata hai na kahīñ raah milī hai

    muddat se rahī farsh tirī rāhguzar meñ

    tab ke sitāroñ se kahīñ aañkh laḌī hai

    aisā bhī kahīñ dekhā hai mai-ḳhāne dastūr

    har chashm hai labrez har ik jaam tahī hai

    ruḳhsār-e-bahārāñ pe chamaktī huī surḳhī

    kahtī hai ki gulshan meñ abhī sub.h huī hai

    samjhā hai zarre ko faqat zarra-e-nāchīz

    chhoTī ye duniyā hai jo sūraj se baḌī hai

    duniyā meñ koī ahl-e-nazar nahīñ baaqī

    kotāh-nigāhī hai tirī kam-nazarī hai

    mad.hosh fazā mast havā hosh mat pūchh

    vāraftagi-e-shauq hai ik gum-shudagī hai

    kāñToñ pe chale haiñ to kahīñ phuul khile haiñ

    phūloñ se mile haiñ to baḌī choT lagī hai

    phir soch lo ik baar abhī vaqt hai 'jāved'

    shikve meñ kuchh andesha-e-ḳhātir-shikanī hai

    har dil jo hai betab to har ek aankh bhari hai

    insan pe sach-much koi uftad paDi hai

    rah-rau bhi wahi aur wahi rahbari bhi

    manzil ka pata hai na kahin rah mili hai

    muddat se rahi farsh teri rahguzar mein

    tab ja ke sitaron se kahin aankh laDi hai

    aisa bhi kahin dekha hai mai-KHane ka dastur

    har chashm hai labrez har ek jam tahi hai

    ruKHsar-e-bahaaran pe chamakti hui surKHi

    kahti hai ki gulshan mein abhi subh hui hai

    samjha hai tu zarre ko faqat zarra-e-nachiz

    chhoTi si ye duniya hai jo suraj se baDi hai

    duniya mein koi ahl-e-nazar hi nahin baqi

    kotah-nigahi hai teri kam-nazari hai

    madhosh faza mast hawa hosh ki mat puchh

    waraftagi-e-shauq hai ek gum-shudagi hai

    kanTon pe chale hain to kahin phul khile hain

    phulon se mile hain to baDi choT lagi hai

    phir soch lo ek bar abhi waqt hai 'jawed'

    shikwe mein kuchh andesha-e-KHatir-shikani hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now