har ek lafz mein sine ka nur Dhaal ke rakh
har ek lafz meñ siine kā nuur Dhaal ke rakh
kabhī-kabhār to kāġhaz pe dil nikāl ke rakh
jo dostoñ kī mohabbat se jī nahīñ bhartā
to āstīn meñ do-chār saañp paal ke rakh
tujhe to kitnī bahāreñ salām bhejeñgī
abhī ye phuul sā chehra zarā sambhāl ke rakh
yahāñ se dhuup ke neze buland hote haiñ
tamām chhāñv ke qissoñ pe ḳhaak Daal ke rakh
mahak rahe haiñ ka.ī āsmān miTTī meñ
qadam zamīn-e-mohabbat pe dekh-bhāl ke rakh
dil-o-dimāġh Thikāne pe aane vaale haiñ
ab us kā zikr kisī aur din pe Taal ke rakh
har ek lafz mein sine ka nur Dhaal ke rakh
kabhi-kabhaar to kaghaz pe dil nikal ke rakh
jo doston ki mohabbat se ji nahin bharta
to aastin mein do-chaar sanp pal ke rakh
tujhe to kitni bahaaren salam bhejengi
abhi ye phul sa chehra zara sambhaal ke rakh
yahan se dhup ke neze buland hote hain
tamam chhanw ke qisson pe KHak Dal ke rakh
mahak rahe hain kai aasman miTTi mein
qadam zamin-e-mohabbat pe dekh-bhaal ke rakh
dil-o-dimagh Thikane pe aane wale hain
ab us ka zikr kisi aur din pe Tal ke rakh
- Book : Khamoshiyon Ka Nagma (Pg. 45)
- Author : Anjum Barabankvi
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.