aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ghar ke aas-pas samundar laga mujhe

Jameel Malik

har ghar ke aas-pas samundar laga mujhe

Jameel Malik

MORE BYJameel Malik

    har ghar ke ās-pās samundar lagā mujhe

    kitnā muhīb shahr manzar lagā mujhe

    ḳhilqat bahut thī phir bhī koī boltā na thā

    sunsān rāstoñ se bahut Dar lagā mujhe

    qātil haath aaj ḳhudā ke hai rū-ba-rū

    dast-e-duā bhī ḳhuun sāġhar lagā mujhe

    yuuñ reza reza huuñ ki koī bhī huā na thā

    yuuñ to tirī nigāh kankar lagā mujhe

    baiThe-biThā.e kūcha-e-qātil meñ le gayā

    ma.asūm dil bhī kitnā sitamgar lagā mujhe

    kis kis ne chuTkiyoñ meñ uḌāyā hai merā dil

    chāhe to bhī āḳhirī Thokar lagā mujhe

    gulchīñ palaT ke sab tire kūche se aa.e haiñ

    phūloñ ke rāste meñ tirā ghar lagā mujhe

    vo jāgtā rahā to qayāmat bapā rahī

    vo so gayā to aur bhī kāfar lagā mujhe

    dekhā jab aañkh bhar ke use Dūbtā gayā

    aalam tamām ālam-e-dīgar lagā mujhe

    us ḳhamoshiyoñ meñ nihāñ kitnā shor thā

    mujh se sivā vo dard ḳhūgar lagā mujhe

    jis aa.ine meñ bhī tirā paikar samā gayā

    us aa.ine meñ apnā jauhar lagā mujhe

    mere dil se hasrat-e-parvāz chhīn le

    mere paas aa ke na.e par lagā mujhe

    sāhil pe jo khaḌā thā tamāshā banā huā

    vo gahre pāniyoñ shanāvar lagā mujhe

    sochā to chuur chuur the shīshe ke ghar tamām

    dekhā to haath haath meñ patthar lagā mujhe

    āñkhoñ se gard jhaaḌ ke dekhā to dosto

    kotāh qad bhī apne barābar lagā mujhe

    tārīkiyoñ meñ nuur haalā bhī thā kahīñ

    dasht-e-ḳhayāl apnā muqaddar lagā mujhe

    chheḌī kuchh is tarah se 'jamīl' us ne ye ġhazal

    har ek sher qand-e-mukarrar lagā mujhe

    har ghar ke aas-pas samundar laga mujhe

    kitna muhib shahr ka manzar laga mujhe

    KHilqat bahut thi phir bhi koi bolta na tha

    sunsan raston se bahut Dar laga mujhe

    qatil ka hath aaj KHuda ke hai ru-ba-ru

    dast-e-dua bhi KHun ka saghar laga mujhe

    yun reza reza hun ki koi bhi hua na tha

    yun to teri nigah ka kankar laga mujhe

    baiThe-biThae kucha-e-qatil mein le gaya

    masum dil bhi kitna sitamgar laga mujhe

    kis kis ne chuTkiyon mein uDaya hai mera dil

    chahe to tu bhi aaKHiri Thokar laga mujhe

    gulchin palaT ke sab tere kuche se aae hain

    phulon ke raste mein tera ghar laga mujhe

    wo jagta raha to qayamat bapa rahi

    wo so gaya to aur bhi kafar laga mujhe

    dekha jab aankh bhar ke use Dubta gaya

    aalam tamam aalam-e-digar laga mujhe

    us ki KHamoshiyon mein nihan kitna shor tha

    mujh se siwa wo dard ka KHugar laga mujhe

    jis aaine mein bhi tera paikar sama gaya

    us aaine mein apna hi jauhar laga mujhe

    ya mere dil se hasrat-e-parwaz chhin le

    ya mere pas aa ke nae par laga mujhe

    sahil pe jo khaDa tha tamasha bana hua

    wo gahre paniyon ka shanawar laga mujhe

    socha to chur chur the shishe ke ghar tamam

    dekha to hath hath mein patthar laga mujhe

    aankhon se gard jhaD ke dekha to dosto

    kotah qad bhi apne barabar laga mujhe

    tarikiyon mein nur ka haala bhi tha kahin

    dasht-e-KHayal apna muqaddar laga mujhe

    chheDi kuchh is tarah se 'jamil' us ne ye ghazal

    har ek sher qand-e-mukarrar laga mujhe

    Source:

    naquush (Pg. 255)

      • Edition: 1979
      • Year of Publication: 1979

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now