har ek ne kaha kyun tujhe aaram na aaya
har ik ne kahā kyuuñ tujhe ārām na aayā
sunte rahe ham lab pe tirā naam na aayā
dīvāne ko taktī haiñ tire shahr kī galiyāñ
niklā to idhar lauT ke bad-nām na aayā
mat pūchh ki ham zabt kī kis raah se guzre
ye dekh ki tujh par koī ilzām na aayā
kyā jāniye kyā biit ga.ī din ke safar meñ
vo muntazir-e-shām sar-e-shām na aayā
ye tishnagiyāñ kal bhī thiiñ aur aaj bhī 'zaidī'
us hoñT kā saaya bhī mire kaam na aayā
har ek ne kaha kyun tujhe aaram na aaya
sunte rahe hum lab pe tera nam na aaya
diwane ko takti hain tere shahr ki galiyan
nikla to idhar lauT ke bad-nam na aaya
mat puchh ki hum zabt ki kis rah se guzre
ye dekh ki tujh par koi ilzam na aaya
kya jaaniye kya bit gai din ke safar mein
wo muntazir-e-sham sar-e-sham na aaya
ye tishnagiyan kal bhi thin aur aaj bhi 'zaidi'
us honT ka saya bhi mere kaam na aaya
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Gireban) (Pg. 8)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.