har ek rishta bikhra bikhra kyun lagta hai
har ik rishta bikhrā bikhrā kyuuñ lagtā hai
is duniyā meñ sab kuchh jhūTā kyuuñ lagtā hai
merā dil kyuuñ samajh na paaya un bātoñ ko
jo vaisā hotā hai aisā kyuuñ lagtā hai
jo yādeñ aksar taḌpātī hai is dil ko
un yādoñ kā dil meñ melā kyuuñ lagtā hai
us ko fikr vo sab se baḌā kaise ho jaa.e
maiñ sochūñ vo itnā chhoTā kyuuñ lagtā hai
duniyāvī rishte to sachche kab the lekin
rūhoñ kā milnā bhī jhūTā kyuuñ lagtā hai
mere hisse meñ aa.ī mai kā har qatra
us kī āñkhoñ hī se chhalkā kyuuñ lagtā hai
'amabar'-jī tum sher to kah lete ho lekin
har ik misra TūTā-phūTā kyuuñ lagtā hai
har ek rishta bikhra bikhra kyun lagta hai
is duniya mein sab kuchh jhuTa kyun lagta hai
mera dil kyun samajh na paya un baaton ko
jo waisa hota hai aisa kyun lagta hai
jo yaaden aksar taDpati hai is dil ko
un yaadon ka dil mein mela kyun lagta hai
us ko fikr wo sab se baDa kaise ho jae
main sochun wo itna chhoTa kyun lagta hai
duniyawi rishte to sachche kab the lekin
ruhon ka milna bhi jhuTa kyun lagta hai
mere hisse mein aai mai ka har qatra
us ki aankhon hi se chhalka kyun lagta hai
'amabar'-ji tum sher to kah lete ho lekin
har ek misra TuTa-phuTa kyun lagta hai
- Book : KYA ARZ KARUN (URDU HINDI POETRY) (Pg. 67)
- Author : Ambar Kharbanda
- Publication : Aseem Parkashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.