Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek salib-o-dar ka nazzara hum hue

Muztar Haidri

har ek salib-o-dar ka nazzara hum hue

Muztar Haidri

MORE BYMuztar Haidri

    har ik salīb-o-dār nazzāra ham hue

    har ek ke gunāh kaffāra ham hue

    aa.ī jo bhūrī shaam sulagne lagā badan

    bhīgī jo kaalī raat to añgārā ham hue

    miTTī meñ mil ga.e to khilā.e gunāh gul

    uble to apne ḳhuun favvāra ham hue

    samjhā thā vo ki ḳhaak meñ ham ko milā diyā

    paidā isī zamīn se dobāra ham hue

    har ek chobdār ne khīñchī hamārī khaal

    har daur ke julūs naqqārā ham hue

    jin ajnabī ḳhalāoñ se vāqif nahīñ koī

    'muztar' unhīñ ḳhalāoñ sayyāra ham hue

    har ek salib-o-dar ka nazzara hum hue

    har ek ke gunah ka kaffara hum hue

    aai jo bhuri sham sulagne laga badan

    bhigi jo kali raat to angara hum hue

    miTTi mein mil gae to khilae gunah gul

    uble to apne KHun ka fawwara hum hue

    samjha tha wo ki KHak mein hum ko mila diya

    paida isi zamin se dobara hum hue

    har ek chobdar ne khinchi hamari khaal

    har daur ke julus ka naqqara hum hue

    jin ajnabi KHalaon se waqif nahin koi

    'muztar' unhin KHalaon ka sayyara hum hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now