har jafa unki hui hum ko wafa se baDh kar
har jafā un kī huī ham ko vafā se baḌh kar
ab nikāleñ vo koī zulm jafā se baḌh kar
sar-e-taslīm hai ḳham terī razā ke aage
de vo rutba jo hai taslīm-o-razā se baḌh kar
kam-sinī jin kī hameñ yaad hai aur kal kī hī baat
aaj unheñ dekhiye kyā ho ga.e kyā se baḌh kar
allāh allāh ḳhusūsiyyat-e-zāt-e-hasnain
saarī ummat ke haiñ potoñ se navāse baḌh kar
tajraba kar liyā aur dekh liyā sab ko 'sharaf'
koī hamdard nahīñ yād-e-ḳhudā se baḌh kar
har jafa un ki hui hum ko wafa se baDh kar
ab nikalen wo koi zulm jafa se baDh kar
sar-e-taslim hai KHam teri raza ke aage
de wo rutba jo hai taslim-o-raza se baDh kar
kam-sini jin ki hamein yaad hai aur kal ki hi baat
aaj unhen dekhiye kya ho gae kya se baDh kar
allah allah KHususiyyat-e-zat-e-hasnain
sari ummat ke hain poton se nawase baDh kar
tajraba kar liya aur dekh liya sab ko 'sharaf'
koi hamdard nahin yaad-e-KHuda se baDh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.