har qadam hadse har nafs talKHiyan
har qadam hādse har nafs talḳhiyāñ
zindagī barq tūfāñ ḳhizāñ āñdhiyāñ
rafta rafta yahī bojh lagne lagīñ
kyuuñ baḌī ho ga.iiñ maañ tirī beTiyāñ
merī duniyā tirī zaat meñ qaid hai
mujh ko ḳhairāt meñ de na āzādiyāñ
tīrgī ḳhāmushī bebasī tishnagī
hijr kī raat meñ ḳhāmiyāñ ḳhāmiyāñ
aap hī āñdhiy.oñ se ulajhte rahe
maiñ to laa.ī thī dāman meñ purvā.iyāñ
maiñ kitāboñ meñ rakhkhūñ ye fitrat nahīñ
phuul sūkhe hue be-zabāñ titliyāñ
ye sahīfa nahīñ merī rūdād hai
is kā unvān hai talḳhiyāñ talḳhiyāñ
yaad kyā hai koī mujh se pūchhe 'hayā'
ek ehsās kī chand parchhā.iyāñ
har qadam hadse har nafs talKHiyan
zindagi barq tufan KHizan aandhiyan
rafta rafta yahi bojh lagne lagin
kyun baDi ho gain man teri beTiyan
meri duniya teri zat mein qaid hai
mujh ko KHairaat mein de na aazadiyan
tirgi KHamushi bebasi tishnagi
hijr ki raat mein KHamiyan KHamiyan
aap hi aandhiyon se ulajhte rahe
main to lai thi daman mein purwaiyan
main kitabon mein rakhkhun ye fitrat nahin
phul sukhe hue be-zaban titliyan
ye sahifa nahin meri rudad hai
is ka unwan hai talKHiyan talKHiyan
yaad kya hai koi mujh se puchhe 'haya'
ek ehsas ki chand parchhaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.