har-su KHushbu ko fazaon mein bikharta dekhun
har-su KHushbu ko fazaon mein bikharta dekhun
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
har-sū ḳhushbū ko fazāoñ meñ bikhartā dekhūñ
jab kisī shāḳh pe ik phuul ko martā dekhūñ
apnī āñkhoñ meñ nayā ḳhvāb sajā luuñ koī
jab kisī ḳhvāb kī ta.abīr ko martā dekhūñ
apne ham-rāh lahū rotī huī āñkhoñ par
niiñd kā bojh liye shab ko utartā dekhūñ
apnā miTTī kā diyā aur bhī raushan ho jaa.e
jab kabhī chāñd ko āñgan meñ utartā dekhūñ
khiḌkiyāñ khol luuñ har shaam yūñhī sochoñ kī
phir usī raah se yādoñ ko guzartā dekhūñ
'sham.a' mat toḌnā ehsās kā ā.īna agar
guzre vaqtoñ kā koī aks utartā dekhūñ
har-su KHushbu ko fazaon mein bikharta dekhun
jab kisi shaKH pe ek phul ko marta dekhun
apni aankhon mein naya KHwab saja lun koi
jab kisi KHwab ki tabir ko marta dekhun
apne ham-rah lahu roti hui aankhon par
nind ka bojh liye shab ko utarta dekhun
apna miTTi ka diya aur bhi raushan ho jae
jab kabhi chand ko aangan mein utarta dekhun
khiDkiyan khol lun har sham yunhi sochon ki
phir usi rah se yaadon ko guzarta dekhun
'shama' mat toDna ehsas ka aaina agar
guzre waqton ka koi aks utarta dekhun
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 513)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.