har tamanna dil se ruKHsat ho gai
har tamanna dil se ruKHsat ho gai
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
MORE BYKhwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
har tamannā dil se ruḳhsat ho ga.ī
ab to aa jā ab to ḳhalvat ho ga.ī
vo riyā jis par the zāhid ta.ana-zan
pahle aadat phir ibādat ho ga.ī
jī rahā huuñ maut kī ummīd meñ
mar hī jā.ūñgā jo sehhat ho ga.ī
laakh jhiḌko ab nahīñ phirtā hai dil
ho ga.ī ab to mohabbat ho ga.ī
mana'-e-shai vaa.iz hai vaj.h-e-hirs-e-shai
ab to mai se aur raġhbat ho ga.ī
yā to masjid rāt-din yā mai-kada
kyā se kyā allāh hālat ho ga.ī
kar chuke rindī bas ab 'majzūb' tum
ek chullū meñ ye hālat ho ga.ī
har tamanna dil se ruKHsat ho gai
ab to aa ja ab to KHalwat ho gai
wo riya jis par the zahid tana-zan
pahle aadat phir ibaadat ho gai
ji raha hun maut ki ummid mein
mar hi jaunga jo sehhat ho gai
lakh jhiDko ab nahin phirta hai dil
ho gai ab to mohabbat ho gai
mana'-e-shai waiz hai wajh-e-hirs-e-shai
ab to mai se aur raghbat ho gai
ya to masjid raat-din ya mai-kada
kya se kya allah haalat ho gai
kar chuke rindi bas ab 'majzub' tum
ek chullu mein ye haalat ho gai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 87)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.